Thursday, May 20, 2010

Yeh Rishta kya kehlata hai!!!

uske kadmo ki aahat sunte hi nazre mud hi jaati hai,
aur tham jaati hai nazre us par kucch pal ke liye,
na to koi bita hua lamha yaad hota hai, na to koi aane wali ghadi,
bas ushi pal me maano zindagi ruk si jaati hai,
woh lehro pe chalti hui si guzar jaati hai,
aur main saahil ki tarah bas dekhta reh jaata hu,
na to chup reh paata hu, na kucch keh paata hu,
chah hai usse pucchne ki, kaise hai woh itni saksham,
ki palko ko jhuka ke maano samay ko rok leti hai,
aur kamar ko balkhake maano hawaa ko woh rukh deti hai,
aur phir hai woh kitni saral, aur saath hi kitni chanchal,
maano kayi indradhanushi rango ko saath mila diya ho,
aur usse kisi sundari ka chitran kiya ho,
Jab kucch kehta hu usse, bas haskar woh taal deti hai,
par uski woh muskurahat bhi kayi aur prashn le aati hai,
maano apne chakravyuh me woh mujhe aur uljhaati hai,
na to woh apsara hai, na to woh mrignayani,
na koi raagini hai, na to woh kaamini,
par phir bhi kucch to vishesh hai usme,kucch to hai alag,
ki jab woh raah se nahi guzarti,
kaano me uske kadmo ki aahat tab bhi gunjti hai,
uske intezaar me nazre tab bhi mudti hai,
na to koi rishta hai usse, na to koi vaada,
na koi tamanna hai, na koi iraada,
par phir bhi uske bina woh raah me kucch tanha sa lagta hai,
uske bina nazro ko kucch to suna sa lagta hai,
bas mera aur uska sirf nazro ka hi naata hai,
kya jaane yeh rishta kya kehlata hai!!!

2 comments:

  1. Hmmm.....Inspiration kaun hain??

    ReplyDelete
  2. kya baat ha but yeh hai kaun? mujhea toa laga woh mrignayani,raagini, kaamini aur bhi bahut kuch hogi.
    but it's very gud seriously.

    ReplyDelete