Sunday, April 27, 2014

Ru Ba Ru

Yun samundar kinare tehelte hue,
Ek din zindagi rubaru ho gayi mujhse,
Kucch shuruaati taoruf ke baad maine kaha,
Tum kucch jaani pehchaani si lagti ho,
Kisi gali nukkad pe, chai ki dukaan par,
Kisi rail ke saamne wale platform par,
Kahi raashan ki bheed me, koi bus ki qataar me,
Kisi mandir me maatha teke, kisi maikhane ke bahaar girte padte,
Kahi to tumse mulaqat hui hai,
Dhundhli hi sahi, par woh yaad ab bhi zehen me hai,
Thik se yaad nahi ke tab tum kaisi thi,
Shayad musqurat se khilkhilaati, shayad nazaqat se balkhaati,
Thodi naazuk kucch sharmaati, kucch adaon me ithlaati,
Ya phir thodi si udaas thi tum,
Ek adhuri si kahani ki tarah, jo khatm hone se pehle hi khatm ho gayi,
Kya woh maayusi thi tumhare chehre par, Ya bas ladne ki thakaan,
Shayad hausla hi hoga, phir se jeet ke dikhane ka,
Jaane kyun yaad nahi aa raha, tumhe yaad ho to batao,
Aur zindagi ne muskuraake kaha, main to har woh jagah hu jaha tum ho,
Par tumhe zindagi jeene ki fursat hi kaha!

3 comments:

  1. Harr doraahe pe mere saath aati rahi meri zindagi.
    Harr kadam mera saath nibhaati rahi meri zindagi.
    Kabhi rooth ti, kabhi aankh micholi khelti,
    harr pal bade pyaar se mujhe jhelti,
    Wafaa kuch yunn jataati rahi meri zindagi.
    Ai maut, tere aane tak mujhe rijhaati rahi meri zindagi.

    - Jitu (JS)

    ReplyDelete
  2. Simple and beautiful narrative poem Priyank. :)

    ReplyDelete