Sunday, January 27, 2013

Masterpiece by Pt. Vishweshwar Sharma

Jeewan ke is ghere mein, dhoop chaon ke dere mein
Palbhar bhi muskan mile to na chhodo
Do aakhon ke pehre mein mann ke ghane andhere mein 
Jhutha bhi armaan mile to na chhodo

Subah ko pakdte hi sham chali aati hai,
zindgi ki ret to fisalti hi jatii hai
apni hi sansein jab pyas ban jaati hai,
to aansuon ke teer pe najar muskati hai
bade samundar gehre mein ya phir ret ke dhere mein
Mrigtrishna ka paan mile to na chhodo
Jhutha bhi armaan mile to na chhodo

Jitne bhi aadmi hai utne jahan hai
Dhoop ki galiyon mein ye hawaon ke makaan hai
naam kahan likhta hai baith ke zameen pe,
aaj jo mahal hai  wo kal ke masaan hai 
bhant bhant ke chehre mein, itne swapan sunhere mein 
ik mann ka mehmaan mile to na chhodo 
jhutha bhi armaan mile to na chhodo 

roj nahi barkha na roj yeh bahar hai, 
pal mein badal jaye wahi sansar hai 
aaj ka yeh sukh mat kal par chhod tu, 
kaun jaane kal is paar us paar hai 
is gareeb ke dere mein,us ameer ke pehre mein 
chhupa hua bhagwan mile to na chhodo 
jhutha bhi armaan mile to na chhodo


No comments:

Post a Comment