Just trying to give tribute to Late Padma Bhushan Shri Jagjit Singh my way... By attempting to add some verses to his work.... Do let me know how they are...
Hoshwalon ko khabar kya bekhudi kya cheez hai,
Ishq kije, phir samajhiye, zindagi kya cheez hai...
Tum nahi ho to andhere, har taraf maujood hai,
Tum hi aakar ab bataao, roshni kya cheez hai,
Ishq kije phir samajhiye, zindagi kya cheez hai...
Apni palko me chupaakar, mausamo ke maayne,
Tumne duniya ko sikhaya, saadgi kya cheez hai,

Humne unke dar pe apni zindagi karli basar;
Hum deewane kya bataaye, bandagi kya cheez hai,

Kal chaudhvin ki raat thi, shab bhar raha charcha tera,
Kucch ne kaha woh chand hai, kucch ne kaha, chehra tera...
Kya karti hai teri nazar, hota hai yeh kaisa asar,
Main ho gaya aashiq tera, Main ho gaya qurbaan tera,
Kal Chaudhvi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera...
Tujhse juda jaau kaha, har zarre me maujood tu,
Har jhoka hai, khushbu teri, Har Os (dew) hai, katra tera,
Kal chaudhavi ki raat thi, Shab bhar raha, charcha tera...
Aashiq ki ho mehfil agar, Kaise na ho tera zikr,
Kucch ne padha kalma tera, kucch ne kiya sadka tera,
Kal chaudhvi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera...
Not trying to fit in the maestro's shoes, just trying to get inspired...