Friday, August 27, 2010

Few thoughts with a touch of Urdu...

Phir jharukhe se mujhe bulaata hai koi,
Phir aashiya-e-dil me nazar aata hai koi...

Hoti hai khuda-e-azeem ki bandagi,
Phir duaaon me maanga jaata hai koi...

Tasveer se bahaar to kabhi aata hi nahi,
Zehen me aake bas sataata hai koi...

Tai karke milo ka safar mushkil,
Kyun meri gali se laut jaata hai koi...

Pal do pal bhi nahi rehta Rubaru woh,
Aagosh-e-tasavvur me theher jaata hai koi...

Aata to hai koi wafa ki seher lekar,
Par shaam-e-ruswai me chhod jaata hai koi...

Yun to zamaane mein bahut mashhoor hai hum,
Pal me "Benaam" hume kar jaata hai koi...