Monday, April 5, 2010

Lage Raho Munnabhai

Some words which very aptly describe my life right now, picked from a bollywood movie, Lage Raho Munnabhai




Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?
Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?
Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?
Ab ret pe nange pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?
Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.
Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh bananaa kya hai?
To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?

- Jhanvi (Vidya Balan - Lage Raho Munnabhai)